Youtube Videos Se Kamayi Kaise Hoti
Hai
Hum jab bhi koi naya kam shuru karte hai to hume uske bare me puri jankari hona jaruri hai. agar nahi hai to pahle us kam ke bare me pata kar lena chahiye. taki ham us kary ko sahi sahi kar sake . to mai bat kar rah tha ki aap youtube par jo video upload karoge, unse kamyi kaise hogi.Jab bhi koi aapki video dekhega to aapki 2 taraha se kamayi hogi. jab koi video par show hone wale ads par click karega. Video par show hone wale ads par click karne se aapki $0.50 se $5 tak ki income ho sakti hai. Agar koi aapki video 30 second se jyada dekhega. Man lijiye agar aapki video par 30 second se jyada wale 1000 views hai to aapko iske $1 se$5 tak mil sakte hai.Ab aap soch rahe hai ki mai aapko $1 ya $5 kyu bta raha hu, fix income kyu nahi bta raha to iski wajah ye hai ki alag alag country me alag alag tarah se paise milte hai. examply USA me aapki video ads par ek click ke $2 se $10 milte hai, jabki india me sirf $0.20 to $2 hi milte hai.Yuotube se paise kamane ke liye aapko apna youtube channel banana hoga or us par video upload karne hone. fir apne youtube channel ko adsense se jodna padega. ghabraiye nahi me aapko sabke bare me details se samajha raha hu. aap bas post ko pura padiye. thoda sa time chahiye bas aapka but jankari kamal ki milegi. aap kisi bhi youtube user ki income dekh sakte hai iske bare me m aapko pahle wali post me bata chuka hu To chaliye ab hum sikhte hai ki ek complete youtube channel kaise banate hai
Step 1: Create Youtube ChannelSabse pahle aapko apna youtube channel banana hai. youtube channel banane ke liye aap youtube.com par jayiye or apni gmail ID se log in kijiye.Agar aapke pas gmail ID nahi hai to pahle aap Google Par Gmail Account Banaye aager aapko gmail I'd banani nahi aati hai to aap mari ek post gmail id kase bnaye pade
Step 2: Upload 4-5 VideoYoutube channel banane ke bad dusra kam hai youtube par kuch video bana kar upload karna. to apne youtube channel par ab 4-5 khud ke banaye huye video upload kare. kishi ki copy na kre agar aapko video upload karna hai to uper aapke profile ican ke pas upload lika hua us per click kre or video upload kre
Step 3: Enable your channel for monetizationYoutube channel par kuch self created video upload karne ke bad tisra kam hai youtube channel ko monetize karna. yani youtube ke shath partnership karna. settings me jakerke aap Apna channel monetize kre
Step 4: Connect Youtube Channel To AdsenseYoutube channel ko monetize karne ke bad 4th kam hai youtube channel ko adsense se jodna. aapki video par jo ads show honge wo adsense ke ads hote hai. or adsense hi aapki income hogi. lakin ek bat or Aapke ek video per kam se kam 100 views hone chahiye tabhi adsense se jod paoge
Step 5: Start Making Best Videoab aapka youtube channel to ban chuka hai, or aapne use monetize or adsense se connect bhi kar liya hai. to ab aap sirf videos upload kijiye or income kijiye. ab mera bhi ek kam kijiye sirf 2 second ka samay de kar is post ko facebook, twitter, google jaha bhi aap karna chaho share kijiye. Jab aapki videos par 2000 views se uper veiws ho jaye tabhi youtube channel ko adsense se connect karna hai. usse pahle karoge to aapka adsense account approved nahi hoga
.By the way agar aapko post me btaya tarika samajh nahi aaya ho or aapke dimag me youtube se related abhi bhi koi sawal hai to aap niche comment me puch sakte ho. but comment me post ke bare me jarur likhe.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें